Dosa har bhartiya ka pasandida vyanjan hota hai. Agar ap ise khud bana karkar apne pariwar walo ko khush karna chahte hain, to jaane Dosa Recipes in Hindi.
2. • Dosa sabse lokpriya South Indian vyanjan hai. Yeh khane mai bahut swadisht hota hai. Yeh
bahut hi aasani se aur kam tel mai banaya ja sakta hai. Yeh protein aur carbohydrate se
bharpur hota hai. Yeh dakshin bhartiya vyajan hone ke bavjud pure bharat mai ise bade
chaav se khaya jata hai.
• Iss dish ko khane ke diwane bacche se lekar bade aur budhe sabhi hote hai. Ise nashte,
lunch, ya dinner kabhi bhi khaya ja sakta hai. Yeh bajar mai bhi aasani se mil jata hai
parantu hum nahi jante ki wo hygienic hai ya nahi.
• Isliye aap apne ghar ke sadasyo ko aapke hatho ka bana hua garam garam dosa khilana
chahti hai, jo ki puri tarah se hygienic to iske liye aapko iski recipe ke bare mai bhi pata
hona jaruri hai. Sari chinta chhodiye, kyoki aaj ke iss lekh ke madhyam se ha, aapko batane
ja rahe hai Dosa Recipes in Hindi. Ise dekhkar ghar par hi banaye lajij dosa aur usko
serve kare.
hrelate.com
4. hrelate.com
Swad Se Bharpur Masala Dosa Recipe in Hindi
• Samagri:
3 katori Chawal, 1 katori udad dal, 1 choti chammach chana daal, 1 chota
chammach methi dana, namak, ½ chammach baking soda,
• Masala Banane Ke Liye Samagri:
Aadha kata hua pyaaj, ½ choti chammach haldi powder, ½ chotti chammach lal
mirch powder, namak, 3-4 uble huye aloo, 1 barik kata hua tamatar, hara dhaniya, 2
barik kati hari mirch, 1 chotti chammach amchur, 1 chotti chammach rai, 4 choti
chammach tel, 10-15 kadi patta.
5. hrelate.com
• Dosa Banane Ki Vidhi:
Masala Dosa banane ke liye ek katore mai chawal aur ek katore mai dal lekar usme pani dale
aur bhigo kar rakh de. Karib 2 ghante bad dono katore mai se pani nithar le aur chawal ko
dardra tatha dal ko barik pees le.
Iske pashchat dono ko ek karke milaye isme thoda namak dale aur ghol ko khameer banne ke
liye raat bhar rakh de.
Ek kadai mai tel garam kare aur usme rai tatha kadi patta, kati hui hari mirch aur tamatar
dalkar tadka lagaye. Fir usme uble aloo dale aur upar se namak, mirch, haldi, aamchur dale
aur maddhi aanch par 5 minute ke liye chalaye.
Dosa banne ke liye tava garam kare aur bane huye ghol ko tave par chile ki tarah failaye aur ek
chammach tel ko dale. Jab dosa halka sunhare rang ka ho jaye to usme aloo ka bana hua
masala bhravan ke liye dale aur dono taraf se fold kar de.
Aapka masala dosa taiyar hai. Ise sambhar aur chatni ke sath serve kare aur khaye.
6. hrelate.com
• Plain Dosa Recipe – Banane mai Aasan
Plain Dosa ya fir ise sada dosa bhi kaha jata hai. Yeh khane mai swadisht hone ke sath bahut
halka bhi hota hai. Isko khane ke bad aap dinbhar tarotaja mehsus karenge aur isko khane se
kisi bhi tarah ki pareshani nahi hogi.
• Samagri
3 cup chawal, 1 cup urad dal, 1 chammach namak, 1 chammach methi dana, tel
• Plain Dosa Vidhi
Sabse pehle chawal, urad dal aur methi ko ek katore mai leke 6 ghante ke liye bhigo de. Ab
isme se pani nikal le aur halka sa pani dalkar mixer mai pees le. Ab usme thoda namak dale.
Iss pise huye ghol ko aadhe din ke liye rakh de. Taaki usme khameer aa jaye.
Iske bad nonstick tave ko garam kare aur ghol ko tave par dalkar gol failaye. Dose ko dusre
taraf bhi tel lagaye aur ise acche se sek le tatha use halke sunhare rang ka hone de. Aapka
plain dosa taiyar hai ab iss sambhar aur chatni ke sath serve kare. Yeh bahut accha snacks hai
jise bahut kam samay mai banaya ja sakta hai.
7. hrelate.com
• Rava Dosa Recipe
Rava dosa matlab iss dose ko suji ya rave se banaya jata hai. Iss dose ki khas baat yeh hai ki ise
banane mai khameer lane ki jarurat nahi padti hai. Ise banane ke liye samagri ko aadhe
ghante mai taiyar kiya ja sakta hai.
• Samagri
½ cup suji, ¼ cup chawal ka aata, 2 choti chammach maida, ½ choti chammach jeera, 2 hari
mirch kati hui, chutkibhar hing, swadanusar namak, tel, 2 ½ cup pani.
• Rava Dosa Vidhi
Chawal ka aata aur suji ko ek katore mai lekar mila le. Ab isme maida, jeera, kati hui hari
mirch, hing tatha swad anusar namak dalkar milaye.
Ab iss mix samagri mai thoda thoda pani dalkar ghol bana le. Kintu yaad rahe iss ghol mai
gathe na pade. Aur isse 20 minute ke liye dhak kar rakh de.
8. hrelate.com
Ab nonstick tawa garam kare aur us par tel ki 3 se 4 bunde dalkar thoda pani ko chhidak de
aur tawe ko saaf kapde se poncha le.
Ab taiyar ghol ko tawe par dale aur chile ki tarah failaye tatha dose ko dhimi aanch par seke
aur sunhre rang ka hone de.
Aapka rava dosa taiyar hai aur ise garam garam sambhar aur nariyal ki chatni ke sath serve
kare.
Upar aapne jana Dosa Recipes in Hindi. Iss recipe ke dwara aap swadisht aur lajij dosa bana
sakti hai. Jisko khane ke bad aapke bacche aapke fan ho jayenge. Yeh swadisht hone ke sath
healthy bhi hai. Aap chahe to har sunday alag alag dose ko banakar naye naye dose ka swad le
sakti hai.